Monday, July 07, 2008

Khwaabon ki Duniya mein

Zindagi yu hi guzarne lagi,
khwaabon ki duniya mein palne lagi.
patthar yahan khanjar yahan,
parkhaaron ke raaston pe chalne lagi.
samjhota bahut humne kiya,
aankh fir bhi ye tapakne lagi.
dard-e-safar koi milta nahi,
tanha umr saari ye dhalne lagi.
kaale badal haarke chillane lage,
khouf ki bijli chamakne lagi.
shishe ke ghar rahe kab tak salamat,
ab to pattharon ki baarish hone lagi.
sab ujda-ujda kuchh sudharta nahi,
fir bhi ummeed ki baatein kyu jalne lagi.

Meri zameen ko banata hai aasman koi,Hua hai meri muraadon pe meherbaan koi,Vo sunn rahi thi haya se nazar jhukaye hue,Suna raha tha use meri dastaan koi.

YE MAHOBBAT KA RISHTA AJEEB HOTA HAI SABKA APNA APNA NASEEB HOTA HAIREHTA HAI JO APNI NAZRO SE DOORVAHI YAADO KE SABSE KAREEB HOTA HAI

Zalim ye Khamoshi bejaan to ho,Ikraar nahi inkaar to ho,Ik aah to nikle tod ke dil,Nagma na sahi jhankaar to ho.

Humne manga tha saath unkaWoh judai ka gam de gayeHum unki yaado ke sahare ji letepar woh bhul jaane ki kasam de gaye.

Please leave your comment how you feel about this post.
Want read more??? Visit us: [YADEIN]

http://ravi-yadein.blogspot.com/
Thanks & Regards
...Ravi

No comments: