Yaadon ko apne dil se mita kyun nahi dete.
jo jaa chuka hai usko bhula kyun nahi dete.
mujrim hoon main tera mujhe itna to bata,
khamosh khade ko saza kyun nahi dete.
use jis ke zakhm hain inaayat,
teri unn adhjali rasmon ko jala kyun nahi dete.
usne tumhari khatir kya kya nahi kiya,
tum uski wafaon ka sila kyun nahi dete.
tumhe mujh se mohabbat hai janta hoon,
hum yeh baat apne lubon se tumhe bata kyun nahi dete.
anmol khazana hai muskurahatein teri,
thoda sa ise mujh par luta kyun nahi dete.
woh aag jo dil mein lagayi thi kabhi,
tumne woh aag aaj khud hi bujha kyun nahi dete.
ek arsa hua chain se soye, huemere chain,
meri neend, tum lauta kyun nahi dete?
(With Spl.Thanks to Vibha)
Please leave your comment how you feel about this post.
Want read more??? Visit us: [YADEIN] http://ravi-yadein.blogspot.com/
Thanks & Regards
...Ravi
Friday, July 04, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment