Adhoora Akash
taare raat mein jagmagate hain
subha ko jane kaha woh gum ho jate hain
andhere mein asman ka rang woh dekhte hain
neeli chadar par woh sare timtimate hain
raat hai andheri or sunsan si
subha ko jane kaha woh gum ho jate hain
andhere mein asman ka rang woh dekhte hain
neeli chadar par woh sare timtimate hain
raat hai andheri or sunsan si
charo tarf chhayi hai ek virani
khamosh ho kar bhi ye hava kuch hai keh rahi
andhere mein rasta kisi ka jaise dhundti
taare apni roshni se raah hain dekhte
subha ko jane kaha woh gum ho jate
taare kitne pyare lagte hain sang hamare
chand to hai adhura akash mein
sang na hon agar ye sare
dekho to asman mein chamkile phool bikhre huye
lagta hai phoolo mein bhi deep jal rahe.
...Ravi
'YADEIN'
http://ravi-yadein.blogspot.com/
'YADEIN'
http://ravi-yadein.blogspot.com/
2 comments:
असमा के तारे अक्सर पूछते है हमसे
क्या तुम्हे आज भी इंतज़ार है उसके लौट आने का.
और ये दिल मुस्कुरा के कहता है
मुझे तो अब तक यक़ीन ना हुआ उसके चले जाने का...
khamosh ho kar bhi ye hava kuch hai keh rahi......
is pankti me hi sare jazbaat khubsurati se bandhe hue hain,bahut achhi lagi
Post a Comment